Friday, 23 November 2012

zindagi kuch is tarhan se veraan hoi

zindagi kuch is tarhan se veraan hoi

~dost~

jis tarhan parinde koi shehar udas ho kar chor jate hain

Hum ne waqt se bohut wafa ki lekin

Hum ne waqt se bohut wafa ki lekin
Waqt humse bewafaai kar gaya
Kuch humare naseeb boore the
Kuch logon ka humse jee bhar gaya…

Tanhaa Rast0n Main Tera Sath Chahye...

Tanhaa Rast0n Main Tera Sath Chahye...

Tanhaa Hai Mera Hath Tera Hath Chahye...

Thursday, 1 November 2012

Kisi Kamzoor Lamhey Main,

Kisi Kamzoor Lamhey Main,

Agar Main Tum Say Ye Keh Doon,

Mujhey Tum Say "MUHABAAT" Hai,

Tum Ye Mat Samaj Lena,

Kay.............!!!!!!!!!

Mein Nay Sach Kaha Ho Ga,

Aisi Dil-Nasheen Baatoon Ko,

Aisi dilbar Aadaoon Main Kehna,

Mujhey Bachpan Say Aata Hai,

Meri Aankhein Mera Chehra,

Mera Ye Bey Sakhtaa Lehja,

Ye Sab Kuch Jhoot Kehta Hai Mager !

Iss Jhoot Main Bhi Ek Sach Bhi Hai,

Kay.................!!!!!!!!!!!!!!,

Mujhey Tum Say "MUHABBAT" Hai

Main Sun K Uski Sab Baatien

Main Sun K Uski Sab Baatien

Faqat Itna He Keheta Hun

Khafa Hona Mana Lena

Ye Sadiyon Se Riwayat Hai

Mohabbat Ki Aalamat Hai

Gilay Shikway Karo Mujh Se

Tumhein Jana Ijazat Hai

Mager Ek Baat Meri Bhi

Zara Tum Yaad Rakh Lena

Kabhi Aisa Bhi Hota Hai

Hawaein Rukh Badalti Hain

khizaein Lot Aati Hain

Khataein Ho He Jaati Hain

Khafa Hona Bhi Mumkin Hai

Khata Hona Bhi Mumkin Hai

Hamesha Yaad Rakhna Tum

Taaluq Rooth Jaane Se Kabhi Toota Nahin Kartay..!!

Suno aye chaand c larki

Suno aye chaand c larki
Abhi tum keh rahi thi na

Tumhain mujh se muhubbat ho nahi sakti
Chalo mana k yeh such hai

Magar aye chaand c lerki
Mujhe itna batao tum

K jab mosam badalte hain
Gulon main rang bharte hain

To phir kiun muztarib ho kar
Akele pan se ghabra kar

Hawa ko raaz deti ho
Mujhe awaaz deti ho

Suno aye chaand c lerki
Tumhare saamne koi mera jab naam leta hai

To phir kiun chonk jaati ho
Chalo mana tumhain mujhse muhubbat ho nahi sakti

Magar itna samajh lo tum
Jahan chahat nahi hoti

Wahan nafrat k hone ka koi imkan nahi hota
Mera dawa hay chahat main

Jahan nafrat nahi hoti
Wahan aksar ye dekha hai

Agar kuch waqt katt jaye
Samay ki dhool chhat jaye

To wehshat bhaag jati hai
Muhubbat jaag jati hay

December Ki Udaas Shaamein,Sard Raatein

December Ki Udaas Shaamein,Sard Raatein
Kabhi Bulayein To Laut Aana
Kisi Ki Aankhon Mein Rat-jagu k
Azaab Aayein To Laut Aana

Abhi Nayi Wadion, Naye Manzaron Mein
Reh Lo Magar Meri Jaana
Yeh Saray Aik Aik Kar k Tum Ko
Chor Jayein To Laut Aana

Main Roz YunHi Hawa Pe Likh k
Uss Ki Janib Yeh Bhejta Hoon
Gar Achay Mousam Paharon Pe
Muskurayein To Laut Aana

Agar Andheron Mein Chor Kar Tum Ko
Bhool Jayein Tumharay Saathi
Aur Apni Hi Khatir Apnay Apnay
Diye Jalayein To Laut Aana

Meri Vo Baatein Jin Pe Tu
Be Sakhta Hansti Thi Khil-Khila k
Bicharnay Wali Meri Vo Baatein
Kabhi Rulayein To Laut Aana

December Ki Udas Shamein,Sard Ratein
Kabhi Bulayein To Laut Aana...!!!

Fursat Ho Gar Aanay Ki Aye Jaan-e-Tamanna
Aa Jao k Tujhay Dil Ne Bohat Yaad Kiya Hay...!!!


Tum Kia Jano Mein Khuda Sey Kia Mangta Hon

Tum Kia Jano Mein Khuda Sey Kia Mangta Hon

Tumhari Salamti Ki Hamesha DUA Mangta Hon

Agar Anjaney Mein Ho Jaye Koi Tum Sey Khata

To Miley Mujhey Us Ki Saza Yeh Mangta Hon

Ager Lag Jaye Koi Chout Tum Ko Ya Ho Pareshaan

To Merey Huq Mein Woh Saari Takleefein Mangta Hon

Aye! Khuda Meri zindagi Ko Ghum Sey Dur Rekhna

Din Raat Tumharey Sarey Ghum Mangta Hon

Tum Ho Hamesha Kamiyaab Tumhari Her Khuwahish Ho Puri

Bas Yeh Sochta Hon Tumhari Her Khushi Mangta Hon

Tum Kia Jano Mein Khuda Sey Kia Mangta Hon

Bas Tumhey Sirf Tumhey Mangta Hon !!!!