December Ki Udaas Shaamein,Sard Raatein
December Ki Udaas Shaamein,Sard Raatein
Kabhi Bulayein To Laut Aana
Kisi Ki Aankhon Mein Rat-jagu k
Azaab Aayein To Laut Aana
Abhi Nayi Wadion, Naye Manzaron Mein
Reh Lo Magar Meri Jaana
Yeh Saray Aik Aik Kar k Tum Ko
Chor Jayein To Laut Aana
Main Roz YunHi Hawa Pe Likh k
Uss Ki Janib Yeh Bhejta Hoon
Gar Achay Mousam Paharon Pe
Muskurayein To Laut Aana
Agar Andheron Mein Chor Kar Tum Ko
Bhool Jayein Tumharay Saathi
Aur Apni Hi Khatir Apnay Apnay
Diye Jalayein To Laut Aana
Meri Vo Baatein Jin Pe Tu
Be Sakhta Hansti Thi Khil-Khila k
Bicharnay Wali Meri Vo Baatein
Kabhi Rulayein To Laut Aana
December Ki Udas Shamein,Sard Ratein
Kabhi Bulayein To Laut Aana...!!!
Fursat Ho Gar Aanay Ki Aye Jaan-e-Tamanna
Aa Jao k Tujhay Dil Ne Bohat Yaad Kiya Hay...!!!
No comments:
Post a Comment