wo Aadmi aam sa
ik qissa na tamaam sa
na lehja bemisaal hai
na baat main kamal hai
hai dekhny main aam sa
udasiyon ki shaam sa
jaisy ik raaz hai
khud se beniaz hai
na mahjabinon se rabaat hai
na shohraton ka khabt hai
ranja na qais hai
insha na faiz hai
wo pekar e ikhlas hai
wafa dua aur aas hai
wo shaks khud shanas hai
tum hi karo faisala
wo Aadmi hai aam sa?
ya phir boht hi khas hai
ik qissa na tamaam sa
na lehja bemisaal hai
na baat main kamal hai
hai dekhny main aam sa
udasiyon ki shaam sa
jaisy ik raaz hai
khud se beniaz hai
na mahjabinon se rabaat hai
na shohraton ka khabt hai
ranja na qais hai
insha na faiz hai
wo pekar e ikhlas hai
wafa dua aur aas hai
wo shaks khud shanas hai
tum hi karo faisala
wo Aadmi hai aam sa?
ya phir boht hi khas hai
No comments:
Post a Comment